Here’s one our Ghalib’s best GHAZALS, open to multiple interpretations and a brilliant demonstration of the complexity yet simplicity that the Urdu language offers. Aah ko chaahiye ik umr asar hone tak Kaun jeeta hai teri zulf ke sarr hone tak Daam-e har mauj mein hai halqah-e-sad kaam-e-nihang Dekhein kyaa guzre hai qatre pah guhar hone tak Aashiqii sabr-talab aur tamannaa betaab Dil kaa kyaa rang karuun khoon-e-jigar hone tak Hum ne maanaa ke tagghaaful na karoge lekin Khaak ho jayenge hum tum ko khabar hone tak Partav-e-khur se hai shabnam ko fanaa ki taleem Main bhii huun ek inaayat kii nazar hone tak Yak nazar besh nahiin fursat-e hastii ghaafil Garmii-e-bazm hai ik raqs-e-sharar hone tak Gham-e-hastii kaa Asad kis se ho juz marg ilaaj Shamma har rang mein jaltii hai sahar hone tak -Mirza Ghalib An English translation from is below: A lifetime passes before a sigh shows its effects Who would wait so long to see you fixing the tangles in your hair A hundred ...
Search This Blog
Azgar Khan
Salaamz, Welcome to my Blog. Although I am too lazy to write blogs, I'll try to post what all I feel should be shared with the world. Hope you enjoy my blog and wont get bored. Thanks for dropping in - Azgar
Posts
Featured
Latest Posts
Bhula Dena Mujjhe, Hai Alvida Tujhe. Tujhe Jeena Hai Mere Bina
- Get link
- X
- Other Apps
Kun Faya Kun - Rockstar Lyrics & Definition
- Get link
- X
- Other Apps